How to earn money online in hindi 2020

How to earn money online in hindi 2020

           
          Too Dosto, aaj kal internet ne hamari zindagi purii tarah se badal di hai. Aaj kal sabhi kam ya vo chote ho ya phir bade ham ghar bhaithe kar sakate hai. Abhi to kahi logo kaa kamane ka bhi tarika badal chuka hai, sabhi log online aa rahe hai aur internet ke dvara lakho paise kama rahe hai. Kya apne online earning karna shuru Kiya? Too maine iss article main aise 5 tarike bataye hai jisse aap Ghar bhithe paise kama paooge.
Online earning

1) YouTube:-

YouTube
         
           Sabse pehle agar kiseko paise kama na ho to sabke saamane YouTube hi aa jata hai. YouTube ek aisa platform hai jisme aap apna knowledge share kar sakate hai or uske badale aapko paise milange. Aapke videos par kitane views as rahe hai un videos par ads dikha kar aap adsense ke through paise kamaa sakate ho. Aap sponsorship ke through bhi paise kamaa sakate ho. Kisi bhi brand ke liye aap video banakar une de sakate hai jis se 
ki aapki earning ho gee. 
          YouTube pe paise kamaane ke liye aap me patience hona bahut jaroori hai. Yahaa aisa nahi hai ki aap ne 10 videos upload kardi to aap lakho kamaa loge aur famous ho jaoge. Nahi aapko mehnat Karte rehna hoga bhale koi views naa aye apke videos par kekin aapko daily videos upload karte rehna hoga. Patience is must for online earning.

2)Blogger:-
Blogger
            To dusra tarika hai online earning Karne ka jispe ki aap ye article phad rahe ho. Ji haa dosto blog ya website banaa kar bhi aap paise kamaa sakate ho. Aap blogger par jakar free me jakar blogspot.com ke sath apnaa blog start kar sakate ho. Ya phir aap WordPress pe 600 ya 700 me ek website banaa sakate ho. Phir aap apne blog par adsense ke through ads dhika kar earning ka paouge.
           Isme bhi aap ko mehnat karni hi hogi. Jabtak aap minimum 20 quality post vo bhi regular jab tak nahi likhte tab tak aapko adsense kaa approval nahi milegaa. Hard work to aapko karna hi hoga apke blog ya website ko rank karane ke liye.

3)Fiverr.com:-
Fiverr.com
             Fiverr.com to aapne suna hi hoga. Bahut hi accha platform hai online earning karne ke liye. Aap isme dusro ko koi bhi service de sakate ho. Jaise ki aapko painting karna aata ho, aapko agar koi introduction tayar karnaa ho ya phir apko koi chij Jo acche se aati ho aur aap uuse kisi aur ko sikha sakate ho aaisi service provide karne par jisko aapne service di vo aapke mutabik aap ko paise dega. Sabse acchi baat is website ki ye hai ki isme minimum payment 5$ ka hai. 
            Pehale pehale to aapko Kam paiso se hi kaam chala padega. Lekin jab aapki rating badeghi vaise vaise aap bhi jyada paise charge kar sakate ho customer se. Ek baar aap ne apna ek brand bana liya to aap  1000$ se 2000$ tak bhi aap mang sakate ho aur samane wala dega bhi. Leking aapko mehnat karna bhi uutana hi jaroori hai.

4) Affiliate Marketing:-
Affiliate Marketing working
             Affiliate Marketing ek aisa jariya hai paise kamane ka ki mai kya batau. Affiliate Marketing se aap unlimited earning kar sakate ho. Har e-commerce websites ne apnaa affiliate program shuru kar diya hai jaise Amazon, Flipkart, Snapdeal ya phir Banggood.  Aapko karna yahi hai ki unke products ko aapko sell karna hai. Vo kaise karoge, aise ki aap apni website ya blog par apni affilate link de sakate ho, ya phir apne YouTube videos ke discription me link de sakate ho. Jis se ki log link par click kar ke vo product kharidenge aur aapko kuch commission milega us price maise se Jo customer ne Amazon ya phir kisi ko bhi pay Kiya hoga.
         Iske liye aap ka blog ya YouTube channel fous hona chahiye. Iss liye aap ko viewer's ko accha content provide karna ho ga aapne website par ya videos me taki log aap par bharosa karke vo product purchase kare.

5) Social Media:-
Social media
          Social media apps to bhi use karte honge. Kya apne kabhi Socha ki aap is se bhi paise kama sakate hai. Hamane hamesha inn platforms ko time pass Karne ke liye hi use Kiya hai. To dosto aap inn platform pe jaise ki Facebook pe ek apna page banakar affilate marketing kar sakate hai. Ya phir aap apne YouTube channel ya blog ka promotion kar sakate hai. Social Media app ka bahut fayada hai but aap kaise use kar rahe ho iss par nirbhar hai.
          Agar koi asaan tarika hai paise kamaane ka to vo hai social media. Ispar aap jaldi grow hote ho aur aap jaldi se jaldi earning star kar sakate ho.

         Too Dost aap bhi aaj hi shuru kar dijiye online earning karna. Bas aapko mehnat aur patience rakhana jaroori hai. Phir se ek baar bataa duuu, "Patience is must for online earning".
           

Post a Comment

1 Comments