Realme C3 launched in India. Full specs and price.

        Realme C3 launched in India. Full specs and price. 

  Realme ne ek aur mobile kar diya hai launch. Dosto Realme picche hatane ka naam hi nahi le raha hai. Har quarter main kuch na kuch launch karte hi ja raha hai. Market me jarasi bhi Shanti nahi lana  chahate. Bahut jaladi jaladi growth kar rahe hai. To Realme ne launch kar diya hai unka Realme C3 mobile jo ki realme ke 'C' series se aata hai. Aapko pataa hi hai ki Realme ki 'C' series entry level smartphones ke liye famous hai. To dosto Realme C3 naya entry level smartphones ka King kehane Mai koi galati nahi hogi. Kyuki esme kafi kuch acchi chije hai Jo ki ham aage janenge.

Realme C3


Realme C3 design:-

            Agar is mobile ke design ke bare agar baat kare to dusare Jo Realme ke phone hotel hai unse thoda alag hai. Back me plastic body milati hai texture design ke sath. Ye phone do colour variant me aata hai:-1)Froze Blue
                  2)Blazing Red
Isme 6.7 inch ki IPS LCD display 20:9 aspect ratio ke saath aata hai. Dikhne ko aur overall build quality acchi hai. Dewdrop notch ke saath hai, slim hai aur haath me pakad ne ke liye bhi kafi comfortable hai.

Realme C3 specifications:-

Processor:-

           Sabse badi baat is mobile me Mediatek ka Helio G70 processor laga hai aur uski clock speed 2.0 GHz hai. G70 kafi accha processor hai daily usage ke mamle main. Agar apko gaming karma pasand hai to aap isme kafi acche game khel sakate ho.

Dual rear camera

Camera:-

            Agar camera ke tarf dekhe to isme 12-megapixel primary shooter hai f/1.8 aperture ke saath aur 2-megapixel ka depth sensor hai. Front main, isme 5-megapixel ka selfie shooter hai. Bahut hi acche photo bhi khich sakataa hai ye mobile. Agar aap kuch photos bhi agar khich na pasand karte hai to ye phone aap ki need ko puraa kar sakataa hai.

Battery, connection aur sensors:-

            Is mobile main mujhe agar kuch sabse jyada pasand ayaa vo hai uski battery. Isme Realme ne 5000mAh ki badi battery di hai. Ye battery apko araam se ek se ded din tak jayegi. Esko charge Karne ke liye aapko box me hi 10W Ka charger milta hai.
          Realme C3 me sabhi tarike ke sensors or connectivity aapko dekhane ko milenge. WiFi, Bluetooth, etc.

Realme Ui

Software and operating system:-

         Realme C3 me colour OS aata hai Jo ki Realme ka khudka UI hai. Ye phone out of the box Android 10 ke saath aata hai. Realme ka clour OS kafi accha UI hai, stock Android se thoda similar hai.

Realme C3 price and variants:-

            Sabse badi chij hai price. To Realme C3 do variants available hai:- 1) 3GB RAM and 32GB storage aur uski price hai 6,999 rupees, 2) 4GB RAM and 64GB storage aur uski price hai 7,999.rupees. 
Realme C3 14th February ko Flipkart pe sale pe jaane Wala hai aap kharidna chahe to kharid sakate hai.
Realme is mobile ki price bahut hi aggressive rakhi hai. Realme C3 kafi tough competition dega baki companies ko.

Best Entry level smartphone

My option about Realme C3:-

         Mere liye ye mobile bilkul perfect hai entry level budget me. Bahut kuch provide kar rahaa hai 7000 rupees main. Agar apko koi mobile chahiye jiska camera aur processor accha ho aur aapko koi badi battery Wala smartphone chahiye to aap is phone ki taraf dekhe sakate ho. Ya to phir Xiomi ke 9A ke liye ruk sakate ho. 
To dosto ye the kuch specs Realme C3 ke baare main. Agar apko ye article accha laga to share karna na bhule ya phir kuch aapko problem hai to comment kar ke he jaroor bataye.
Thank you.
          

Post a Comment

0 Comments