OnePlus 8 and 8 Pro launch date and specifications in detail.

OnePlus 8 and 8 Pro launch date and specifications in detail.

OnePlus 8 pro

     
   Oneplus ke 7 series 7T series ne to kafi hangama machaya apne price aur specifications ki vajah se. OnePlus hame 54,000 ke price me Triple camera setup, pop up selfie camera, 30W warp charger out of the box aur kahi chije. Isiliye kahi logone vo mobile kharida aur pasand bhi kiya. To aab hamari nazar hai OnePlus ke home wale agale event par jisme ki Oneplus ki 8 series ki announcement hogi.
Android 10 out of the box 
           Takariban OnePlus har saal do launch event rakhata hai Jo ki ek June me or dusra November me jisme ki 'T' series launch hoti hai. Par pichale saal OnePlus ne kuch jaladi apne launch event ko nipata diya. Is saal aise rumours hai ki OnePlus apna launch event March ke starting home wala hai Jisme ki 8 series ke phone launch honge. Aur badame uske badke quarter main 8T series launch hogi.

           Hame is bar 8 series main Qualcomm snapdragon 855+ ka processor dekhane milega. Aisa kaha bhi ja raha hai ki inme 865 processor hoga par mujhe nahi lagata ki isme ye processor hoga aisa agar hua to 8 series ki hii price bhaut uppar ho jaigi phir sochiye ki 8T series ki price kitni hogi. Isme quad camera setup hone wala hai Jisme ki primary sensor 64MP ka hoga Jo ki Sony ki taraf se hoga. Aur punch hole display hone wala hain.
           Isme wireless charging bhi hone wali hai or out of the box 50W dash charger ke sath aata hai. Isme do varient honge 6GB RAM+128GB ROM and 8GB RAM+256GB ROM.

          Ek surprise hai OnePlus ke tarf se aapke liye is baar OnePlus do nahi teen phone launch karne Wala hai wo hai, OnePlus 8, OnePlus 8 pro and OnePlus 8 lite. Iski price takariban 37 thousand se star ho kar 45 thousand par khatam Hote hai. Ek bata du 8T series ki price isbar mere hisab se bahut jyada hogi Kyu ki Snapdragon ka 865 processor hoga aur is processor ki kimat abhi to bahut jyada hai.
          To dosto ye phone isbar Samsung ke S20 ke sath compete Karne wala hai. Isbaar mere hisab se OnePlus ke phone sacchh me flagship bhi honge aur premium bhi. Aur unki Jo lite series aane wali hai vo Poco aur iOQQ ke sath compete karenge.
           To ye rahii kuch OnePlus 8 ki information. Pehale bataa du ye sab leaks or based hai. Kaisa lagaa aapko ye blog comment karke jaroor bataye. Agar aise hi interested blog aapko padhane hai to email box main aapka email submit karde. Ham aapko latest notification dete rahenge.
         

Post a Comment

0 Comments