Poco X2 is launched in India. Full specs and price

Poco X2 is launched in India. Full specs and price

Poco X2

To Dosto, akhir kaar  jiska hame intjar tha vo ho gaya. Akhir kar Poco ke taraf se phone launch ho hi gaya.
         Bohot se leaks aa gaye the sabhi ko laga thaa ki ye Xiomi ke k30 Jo china me launch hua uska hi ye Poco ka phone rebranded hoga. To chaliye apka sbra me khatam karta ho bata deta hu ki Poco ka Poco X2 mid-range flagship mobile launch ho chuka hai Jo realme ke X2 se beat karega. 
          To iss Poco X2 mobile me 6.67 inch ke full HD+ IPS display ke sath aata hai. Dikh pada dosto apne No AMOLED display with Poco X2.  Sabse badi baat isme 120hz ka refresh rate hai sochiye dosto apko games khelate hua kitna maza ayega. Haa AMOLED nahi hai par iski screen kuch kam nahi hai.
          Agar iske build quality ke baree mai baat kare to dono hi side ko glass body aati hai aur corning gorilla 5 ke protection ke sath. Isme In-display fingerprint scanner nahi hai isme side mounted fingerprint scanner diya gaya hai. Overall iski build quality kafi achhi hai. 
           Isme ke camera ke paas dekhate hai to piche ke taraf quad camera setup hai Jo ki primary sensor  64MP Sony ke latest IMX686 f/1.89  lens ke asst hai aur secondary sensor 8MP f/2.2 ultra wide sensor hai aur tertiary camera 2MP ka micro lens hai f/2.4 aperture ke sath aur 2 MP depth sensor diya gaya hai. Aur front dual camera diya hai Jo ki 20MP ka primary aur 2MP ka secondary camera diya hai. Aap isme sabhi tarike ki photos click kar sakate hai mi ka camera app sabhi tarikese feature rich hota hai. Ya to bokekh photo ho ya phir beauty photos ho. 
Mid-range flagship

           Sabse important baat hai iski performance. Kya ye Poco F1 jaisa powerful hai? Isme Qualcomm ka Snapdragon 730G processor laga hua hai Jo ki mid-flagship processor hai. Aap aram se Pubg ultra settings per khel sakate ho na koi lag ke sath. Ye phone kafi powerful hai agar ham battery ki taraf dekhe to isme 4,500mAh ki battery atti hai Jo ki apko aram se ek se thed din jayegi aur usko charge Karne ke liye 27W ka super charger box me hi milata hai Jo ki apko battery ko 50% adhe ghante me hi charge kar dega.  Isme miui11 hai Jo ki Android 10 pe based hai. 

            Sabse sabse important chij agar koi hai Jo ek smartphone successful banayi hai vo hai uski price. To Poco X2 tin variants me aata hai 6GB RAM and 64GB storage ki price hai 15,999 rupees, 6GB RAM and 128GB storage ki price hai 16,999 rupees aur 8GB RAM and 256GB ki price hai 19,999 rupees. Ye phone teen colour option ke sath aata hai Atlantis blue, Matrix purple and Phoenix red. 
Sale 11 February on Flipkart

            Poco X2 11 February ko dupeher 12 baje sale par jaane vala hai agar apke paas ICICI bank card hai to apko 1000 rupees ka instant cash back milega.

           Mujhe to ye phone kafi achaa laga. Kya hau agar ye k30 rebranded version hua to lekin isme kafii asri achii chije bhi hai. Aap mujhe batai ki aapko ye phone kaisa laga comment karke. Iss article ko share karna naa bhule.
     
         

Post a Comment

0 Comments