Samsung Galaxy M31- Full specifications and price in India.

Samsung Galaxy M31- Full specifications and price in India.

Samsung M31

            Vaise to Samsung ka Jo picchalaa M series ka Jo phone raha Jo M30s tha vo kafi jyadaa pasand Kiya Gaya logo ki tarafse. Ye phone kafi acche specifications ke sath aaya tha. Sabse badi baat kam price me aaya thaa. Samsung ka phone aur value for money sunneme thoda ajibh lagataa hai. Par Xiaomi aur Realme jaise brand se apnaa market share bachane ke liye Samsung ko ye kadam udhana pada tha. Ye khi hat tak safal bhi raha. Vaise bhi iPhone Tak Samsung aaj Tak beat nahi kar pays to ye Kya hai. Too Dosto Samsung apnaa ek naya phone leke as raha hai Jo iss M30s ka successor hoga. Aage jante hai iski specifications aur price Kya hogi.
Super AMOLED display
               Iss phone ka naam Samsung Galaxy M31- rakha Gaya hai Samsung ki taraf se. Iss phone ki build quality aur design ki baat kare to issme picche ki taraf polycarbonate matalab plastic body milati hai. Samane ki taraf glass body milati hai Jisme ki Gorilla Glass 5 ki protection hone wali hai. Agar Samsung issme dono hi taraf glass body deta to kafi maza as jata. But price ki cut karne ke chkkar me yahi de diya. Issme 6.4 inch ki Super AMOLED display milta hai. Aapko isme movies ya sunlight me use karne ke liye koi bhi pareshani nahi hogi. Aapko kafi punchi colors dekhne ko milte hai iss phone me.
Quad camera setup

               Iss phone ke camera ke taraf ham dekhe to isme Quad camera setup milta hai. Jisme primary sensor 64MP ka f/2.0 aperture ke sath wide angle ke lite diya gaya hai, secondary camera 8MP ka f/2.2 aperture ke saath ultra wide shots ke liye diya hai, tertiary camera 5MP ka f/2.4 aperture ke sath micro shots ke lite hai aur aakhari 5MP ka f/2.2 aperture ke sath depth sensor diya gaya hai. Selfie ke lite isme aapko 32MP ka camera diya hai Jo kafi acche photos click kar letaa hai. Ye cameras jaise ki trend chal raha hai vaise hi squarish box me rakhe hue hai. Camera ke maamle me mujhe to koi pareshani nahi hai. Vaise bhi aapko pata hi hai Samsung ke phones ke camera kitne acche hote hai.
Best budget smartphone

              Iss phone me exynos ka 9611 hai Jo ki 10nm technology pe based hai. Jo ki mai kahunga khik khak hai. Aur jo M series ki main highlight hoti hai uski battery. Ji haa dosto isme bhi 6000mAh ki badi battery hai. Jo ki aap agar havey user ho jaise ki Meri tarah to aapko ye battery aaram se 1 se 1.1/2 din jayegi. 18W Fast charging ko bhi support karta hai ye phone aisa kaha to has raha hai par ye charger box me ayega ya nahi ya abhi Tak officially pata nahi chala hai. Ye phone out of the box Android 10 par ayega. Isme Samsung ka One UI 2.0 hi aane wala hai.
             To aab bat aati hai iski price ki. Kya ye bhi phone M30s ki tarah value for money hoga. Isme do variant ayenge Jo ki 4GB RAM aur 64GB storage hai jiski Kumar RS.15,000 ke niche hogi aur doosra variant 6GB RAM aur 128GB storage hai jiski kimat RS.17,000 hogi. Mere hisab se ye phone iss price point par kafi hat tak value for money hai. Agar aapko badi battery chahiye aur aapko photos nikalana pasand hai to aap iss phone ki taraf dekhe sakate ho. Sabse badi baat iss price main aapko Samsung jaise brand ka naam mil raha hai. Yeto mere liye kafi acchi deal hogi. To ye phone 25th February 2020 ko launch hone wala hai. 
            Launch hone ke baad iss ka comparison bhi karenge Redmi Note 8 pro aur Realme 5 pro ke sath. Too Dosto aap bataiye kaisa laga ye phone aapko. comment karke jarur batana. Agar aapko mujhse kucb puchna hai to aap mujhe mail ya kisi bhi social media sites par Puch sakate hoo. To ajj ke itna hi. 
     

Post a Comment

6 Comments